FUNCTION ON 26 JANVARY,,AT AMRITSAR

26 JAN. KO MELA HAI DARGAH ME,AT AMRITSAR,NEW PARTAP NAGAR ,.SO COME HERE GOD BLESS YOU.fOR MORE INFORMATION PLEASE CONTACT BABA JI NO. +917837845786.

Monday 21 January 2013

The story to be continued................

humne iss ghar  dhol baja ke lekar aaye the.fir baba jji ne meri bari larki inderjit kaur ke shaadi bare baat ki aur kaha ki baba ji mai kis tarah sabh kuch kaungi aap to sabh kuch jante hi ho ki abhi to saara paisa bacchee ke upar lagaya hai aur na hi maine isske shadi ke bare me socha hai to babai  ji ne kaha ki aap iss baat ki chinta na karo ye sabh apne aap ho jayega aap bas hami bhar do larke ka rishta bhi apne aap ghar chal ke aayega  hume ghar ek school waaali  mata matha tekne ke liya aaya karti thi  wah rishte bhi karati thi baba ji ne hume unse baat karne ke liye kaha  par mere man me ye baat aa rahi thi ki baba ji itni jalde ye shaadi kun karna chahte hai  fir maine baba ji se puch liya baba ji ne kaha ki aap fikar na karo bas main aapko aane wale maare same se agah kar raha hun. jaman bahoot kharab hai bas mai aapke sir kise bhi kism ki parshani nahi aane deni hai , bas aap rishta dhundo  to mata ji ne hume kaha ki ek larka hai jo humare area me rahta hai larka bhi khatriya ka hai ,uss ka naam gurjeer singh hai wah photographer ka kaam karta hai. mujhe unhone larke ke ghar wale se milaya larka kafi acchee subhaw ka hai, lamba aur sundar hai mujhe ye larka bahoot acchaa laga ,mai unke ghar walo se baat karke unko apni larki dekhne ke liye shaam ka time rakha ,shaama ko unhone larki dekh ke  shaadi ke liye kah diya  bas agle hi hufte unhone shaadi ka time rakha .shaadi saada hi kiya gaya ,baba ji hume aane wale same ka pahile hi wistharpurwak bata dete the,mere ghar hor roj ab kaafi sangat aane lagi.jis karke mujhe inhe chay pani pilane me kaafi dicaat hoti thi bahoot muschile me mera time paas ho raha tha fir baba ji ne mujhe mere bare larke ke baare me bataya ki isski shaadi bhi jaldi ho jayegi  larki ke saadi ke baad mere bare larke narinder singh ki shaadi bhi (1999)ho gayi jis karke mera bhi kaam asan ho gaya ,baba ji ne mere ghar me hone wale har kaam me meri bahoot shayta ki  unka mai apni saari jindagi sukargujar rahungi,baba ji ne bacche ke bare me ye farman kiya ki aapke saare bacche ke ghar ek ek larki hogi,uss se jyada nahi hogi .meri larki ke ghar pahli larki hui thi aur fir mere larke ke ghar bhi ek larki hui thi ,fir ek din hume kaha ki aapke tisre  larke ke shaadi  ke liye larki kisi village ki hogi jab hum uss ke shaadi ke bare me larki dekhne ke liye gaye to wah larki village ki hi rahne waali thi. maine apne tisre larke ki shaadi kar di .iss ke ghar bhi pahile larki hui .ab hum bas apne sabh se chote larke ki shaadi ka fikar tha.par baba ji ne hume iss ke bare me kaha ki abhi iss ke bare me baad me baat hogi .sama aane ke baad apko iss ke bare me pata chal jayega ,kuch same bitne ke baad kudha baksh ko gaddi me bitha ke usko gaddi ka waris bana diya gaya ,abhi tak kudha baksh sampuran rup me gaddi me nahi baithe  hai kunki jab tak unko saari baat ki tamil nahi mil jaati  aur kuch gaddi ke prati shurt hoti hai wah shurt ko samagh ke  apni ichha ke anusaar maan nahi lete hai tab tak tab tak inko vidya hasal karne ke liye school bheja ja raha hai.baba ji ke darbar me har din sangat aati  hai .par baba ji unki muraad puri karte hai jinki  shurdha me koi bhed bhaw nahi ho..yaha har tarah ke log aate hai aur har tarah ke dukh se nijaat pate hai.baba ji ne apne jeevan me kai tarah ke logo ka iilaj kiya par unke saath kabhi koi shurt nahi rakhi  chahe paise ki ho chahe koi wastu ki.unka ek hi wachan hota hai ki jisne bhi is dar pe aana hai wah apni shardha se aaye na ki yaha aa ke dusre ke liye ye kahe ki mujhe usse dukh pahunchana hai.aap unke liye kai taweej bana do baba ji ye sab baat se bahoot nafarat karte hai.wah to dhaage,taaveej dalne wale ko apne dargah me dakhil nahi hone dete hai .baba ji farmaan karte hai  ki agar dhaage aur taaveej hi dalna ho to mere dargah me aane ko koi jaroorat nahi tum kahi aur jaa sakte ho yaha sirf sacchaayi se hi iillaj kiya jata hai na ki fareb se . baba ji ke darbar me kai sangat bahoot purane hai jinko 18 saal se bhi jyada ho gaya hai yaha aaye hue.yaha ek sewadar bhi hai jo darbar banane ke pahile din de aaj tak sewa lagatar karta aa raha .jis ka naam harbahan singh uss ka bhaayi baldev singh hai .
                                                             aur bibi vije devi ,inhone maine sewa karni jinpe baba ji ki janam se le kar  aaj tak rahimat hai ,wah hai bibi mahinder kaur (roji) roji naam unka baba ji ne rakha tha  jo ki ye naa m us ke pahile janam se hai.aah bibi mahinder  kaur ji ki sewa sambhal aur inki bhagti se kush ho ke  baba ji inki har fariyad puri karte hai chahe wah apne pariwar ke liye ho chahe bahar ke sangat ke liye .unke liye pariwar ya sangat dono hi ek saman hai balki ab to wah ye baat bacchee ko batate hai aap bhi  har same rab ki bandagi sewa me jurhte raho ,logo ki sewa karo ghar aaye sangat ko bhi apne pariwar ke jaisa parshad paani pucha karo .inki sewa me hi dunia bhar ka sukh hai .aage jaa ke baba ji ke kuch aur sapne hai  inki samaaj ke prati  jo wah ye kaam same aane par karenge.jise ek hospital banwan hai jis me har tarah ka iillj hoga aur ek school bhi kholna hai jis me har tarah ki vidya di jayegi  aur ek biradh aasharam bhi banwana hai jisme  jis me baba ji ke kuch sangat hai  jo ki apne pariwar se bahoot dukhi hai unke liye ye aasharam banwana hai jo ki wah iss darbar me rahe aur baba ji ki sewa kare aur apna jeevan safal banaye.Abhi bhi un bujurag ke liye ye darbaar  khula hai par rahne ke liye jagah ka hona baaki hai.Ye sapana unka hai jo aane wale 2.4 saal me unko pura karna hai.Iss liye unhone sewar karti mahinder kaur  de pati barinder singh ji ki jameen ka hissa jo ki unke bhayiyo ne kabja kar liya hai.jis ki keemat carore  rupee hai.Baba ji ne uss jameen ko wapas  hasil kar ke uss ko bech ke  uss rashi ko edhar ke kam ke liye wartana hai.jo ki baba ji ka sapna hai.Ye saari ghatna jo bhi iss kitab me  likhi hai ye sab ghatna mai narinder  singh , nawa daarni mahinder kaur ka bara larka apni bachpan ki jindagi se lekar  abhi tak dekha hai aur suna hai .iss baat ka ek warnan iss kitab me likha hai aur dargah ke banane se lekar  abhi tak jo bhi ghatna hui hai uss ke gawah saroop parosi  harbhajan singh ,baldev singh ,bibi prem kaur  aur kai hor ghar hai jo ki iss ghar  se bhi pahile  se iss area me rah rahe hai.Aage jaake hor bhi  baba ji ke darbar prati jo ghatna hoyegi  wah ghatna iss kitab ke dusre bhaag me likha jayega.

The story to be continued...



Fir baba ji ek din hajar me thursdsy wale din mere pati barinder singh ko kaha ki aapke ghar me 12 saal baad ek larka paida hoga jiska  naam chulli kudha bakhach hoga .ye bachha is dargah ki gaddi ka waris hoga ye kudha bakhch koi aam bacchha nahi hoyega ye to ruhani takat se bhara hoga jiske saath par aapko is bacchhe ki bahoot dekh rekh karni paregi baaki baat aapko iske janam ke baad hi batya jayega. Jaise jaise sama beeta bahoot door door se baba ji ki sangat aane lage kuch sangat delhi aur Mumbai aur kuch videsh me bhi hai jiske jeevan me kaafi sudhar hua .unki saari dukh takleef door ho gayi. Wah sangat sirf saal ke saal aate hai kunki baba ji yaha par har saal mela manate hai jisme kawali ka program hota hai.iss din baba ji sabhi sangat ko sardha sahit saropa bhent karte hai aur unka man samman karte hai sath hi baba ji ye bachan har saa doharate hai ki jis pariwar me bachha nahi hai wah yaha aake choli jaroor bharaye.unko jaroor  bachha hoga.par baba ji ki  kuch shurt hoti  hai jisko nibhane me bahoot muschil hota tha.jo sangat inki shurt nibha sakte the unko jaroor bachha hota tha.wah ye shurt hai. Sabh se pahli shart ye hai ki jis ghar me mere naam ka wass hoga  uss ghar  me sharab bilkul nahi aayegi aurat ka pahila mahina ho lekar baccha jab tak sawa  mahine ho ke dargah me matha nahi tek leta tab tak aur na hi aurat apne mayike ja sakti hai jab tak uska baccha nahi ho jata . baba ji jis sangat ka illaj karte chahe bimari ho chahe bacchee ki bakhsheesh  chahe hor koi kaam baba ji sabh se pahile uss ghar me sharaab band karwate kunki  ye sharab ,meet –machii ye sabh cheej se kaafi nafarat karte hai.inki jindagi me kabhi bhi in cheejo ka prayog nahi hua tha .jab hum bakreed manate hai tab hum meet ki bajaye langar parsad taiyar karte the  baba ji idd, bakreed, ya guru maharaj ji ka gurparab  baba ji ye sabh tyeohar bahoot dhoom dham se manate hai, baba ji ne hume humar mithi jeevan  me mano kabhi bhi door nahi kiya  wah to hare ek sangat ko kahate hai ki mere har sangat jitni dhoom dham se mera janam din manate hai utni hi dhoom dham se guru  sahib ji ka gurparb manate fir kuch sama beetne ke baad hume ghar me san 1996 issvi me 14 june ko janam hua.

Iss ke janam ke baad 19 din baad ye bimari ho gaya jis karke is  ki halat kaafi najook ho gayi par baba ji  ne to hume  pahile hi batayaki tha ki iss ko sambhalna bahoot hi muschile hoga iss bacche ka jo bhi pahile janam ka lena dena iss ke janam ke baad hi shuru ho jayega jiss karke ye aage jaa ke har ek archan se mucat ho jayega  ho sakta hai iss ki jaan ko khata ho par aap ghabrana nahi iska janam hi iss yug ko tarne ke liye hua hai abhi dunia me ye aam bacche jaisa hi rahega aur na hi apne takat ko istemal kar sakega  jab tab ye bacchaa kudh gaddi me baithe ke layik nahi ho jata .ye saari bate baba ji ne iske janam se ek mahina pahile hi bataya tha .fir ek din iss bacche ki cheel daran warat hospital me mout ho gayi thi par doctor ne iss ko jawab jaroor de diya par mujhe apne baba ji pe pura bharosa tha kunki ye bacche to us  parmatma ki bakhsheesh hoyi hai,iss ko kuch bhi nahi ho sakta tha .ye baccha bare operation se hua tha jis karke mai kaaffi kamjor ho gayi thii fir maine baba ji kea age fariyad ki  ki  agar aap iss ko wapas hi lena tha to is ko janam kun diya fir baba ji ne mujhe wishwas diya ki aap meri dargah ka chadar ka tukara kaat ke bacchee ke hath me   badh de aur ek dhool wale ko bulao aur dhol wale ko bula ke phone se iss bacche ke kaan me lagao aur mai iss ke kaan me kuch kalam ka aagaj karunga  jiss ye baccha dubara jinda ho jayega  par aap doctor se iss baat ki anumati jaroor le lena .jab mere pati doctor ke paas gaye  to unhone kaha ki aap iss bacche ko le jao .par hamara wishwas  bahoot majboot tha .humne doctor se kuch hour ki mahoolat aur mang li fir baba ji ne sawa mahine se pahile hi choiki li aur ghar phone me bacchee ke kaan me namaaj parhi us same humare phone ka no. 237160  hota tha jis tarah baba ji na namaj parhi  bacchee ke sans wapas aane  lage .ye karisma dekh ke sare hospital ke doctor ,nurse aur ward sare mareej ye dekhne ke liye aaye .doctor ko iss baat se bahoot hi hairani hui fir mai dubara hospital gayi aur baccchee ko apne hath me liya aur iss ko apne gale laga ke usska matha chuma ,doctor ne mujhe badhayi di  aur kaha ki mari jindagi me ye pahla chamatkar hai ki 19 hour marne ke baad koi dubara jinda ho jata hai.fir maine doctor ko bataya ki ye baccha is tarah janam liya hai  to un doctor ne iss bacche ko matha teka aur kaafi kush huye ,houli houli karke saare hospital ko pata chala to sabhi log iss ke darshan ke liye aaye,takreeban

Saturday 19 January 2013

the story to be continued .........

fir hum baba ji se wack manga aur kaha ki hume thora sama chahiye unhone hume wact diya aur kaha ki aap abhi bhi kisi siyane ke pass jana hai to jaa ke pata kar sakte ho.mai aapko nahi rokunga par kise sahi aur sacche aadame ke pass jana .jo aapko ikdam sacchayi bataye ki ye jagah dene se aapko  koi fark nahi parega.fir hume aapas me vichar kar ke hum us same shri harimandir sahib me ek no chabeel me seva karte the.mere silayi center ki aurate waha hi sewa karti thi .mai waha apni saari baar unse ki aur unhone pucha unhone  kaha ki aapko is bare baba thakur singh ji se baat karni chahiye hai.wah aapko sahi rasta batayege kunki wah ek sant hai.na hi unhone kise dharam ka bhav hai unki najar me to saare dharam ek jaise hai.unse baat karo mai unki baat maan ke baba thakur singh se baat ki saath hi vo hume jaante the.unhone kaha bibi mahinder kaur agar aapke ghar me jagah sach much ki hai to aap uss de de kunki koi bhi peer fakeer apni jagah nahi chorte hai saath hi isme koi burayi nahi hai chahe peer ho chahe guru sahib deve hi hai. to parmatma ke naam dekh mai to aapko bahot der  se jaanta hun.aapka saara history jaanta hu.aap kis tarah ye makan liya hai.agar abhi is makaan me koi jagah hai to vo bahoot hi acchi hai.kunki is jagah ka aapke saath jaror hi koi wasta hai.saath hi aapke hi to koi baba ji hai kya pata aapko wo hi yaha le ke aaye hai.aur aapko sirf is makan me hi kunki laya unki jagah thi to hi mai to aapko kaha ki aap ye jagah bana lo is me hi aapki bhalayi hai shaeed ye guru ram das patshah ka hukam hoye ye nagari us ki basayi hai is me jo bhi rahata hai ye janta hi ki ye nagari peera  fakeera, guru, devi, ki nagaari hai.dunia me sabse jyada iss nagari me gurduare mandir aur ghar me peer ki jagah hai.to ye guru ram das padshah ka hukam man ke jagah bana baki sab wah parmatma karega hum unse baat karne ke baad aapsi wichar kar ke ye faisla liya ki hum banayege par humare paas  ek hi kamra tha aur baaki jagah ghar khula tha .aanagan bahi nahi chat hua nahi tha.aur na hi humare pas koi paisa tha jisse kaal money makan bana sake .fir humne baba ji ke hukam ka intejaar kiya.jab unse baat hui to unhone kaha ki agar aap aaj meri jagah bana do ge to mai aapke saath wadaa karta hun ki aapki bahot jaldi paise mil jayenge.jisse aap apna makan bana sakte ho .fir hum is ghar me baba ji ke naam pe chirag jagana shuru kiya.is jagah ki sthapan 1989 ,feb. me hui uss same iss makan me ek baara kamra tha iss kamre ko humne do hisso me bant liya .hum kamre me ek parde ke saath iss ko bant diya .sab se pahile baba ji ne farmaan kiya ki iss ghar me meri nishani ke taur pe ek majar banyi jaye aur baad me iss majar me chirag jagao .fir baba ji ne har thursday ke thursday dargah me hajari bharni shuru ki.fir jaise jaise sama bita dargah me har thursday gurh ke choul ki niyaj deni shuru ki .jab bhi koi ghar me matha tekne ke liye aata uski har murad baba ji puri karte .uss same har thursday langar par sadda taiya kiya jata tha .baba ji ne mujhe har same dargah se jure baat ko sutharne ki furmaan karte ki aap har same har sangatt ki sewa bari shardha purk karni.kisi ko bhi unchi awaz se baat karni .baba ji har same hume aake parerna karna aur hume har same guru sahib ki charan me guru bani parne ke liye kahna jaise jaise.sama bita har roj sangat ka parbahv barhta gaya.thursday savere amrit same hi sangat aani shuru ho gayi.fir baba ji ne furman kiya ki iss dargah me har ek gurpurab manaya jaye .aur langar lagaya jayega.aur ye lannger jab tak ye darbar dunia me moujad hai band nahi kiya jayega.iss langar ko har waari apni taiyari karna kiunki sewa se hi humara jeevan safal honge.fir yaha sangat kaafi door door se aani shuru hui.waha baba ji har kisam ke dukh door karte hai unki pareshani ko samajh ke unko prerna dete .ek baar is dargah pe ek baar sangaat aayi jis ke ghar me koi baccha nahi tha.us ke shaadi ko taraki dhan 14 saal ho chuka tha.us aadmi  ko kisi ne iss dargah baba ke duss bahyi the ki aap waha chale jaao .aapki is dargah me murad puri ho jayegi.par uss aadmi ne doctor se illz karwa ke kaafi siyania ke paas ja chuke the.par uski koi bhi murad puri nahi hui thi.iss liye vo kaafi dukhi thi.uss aadami ka naam jageer singh tha .wah sarkant house me ASI tha.jab uss dargah me aana shuru kiya to baba ji ne uss kaha ki aapke ghar me baccha to jaroor hoyega.par aapko apna vishwas aap hi kayam rakhna parega.tere ghar aane wale mahine me tere ghar larki paida hogi jo tere pariwar ka batwara hoygi.par aapko iss dargah pe bharosa karne parega.fir jageer ne panch weerwar  bari hi sarpa se bhara jis karke unke upar baba ji ki kirpa hogi baba ji ne aashirwad diya.The story will be continued....................................

Friday 18 January 2013

The story to be continued...............



Us me kai plot kate hai aur aapke najdeek hai.jaha aap rah rahe ho saath hi sabse bari baat ye hai ki plot saar kishto me mil rahe hai.aur koi khass kist bhi nahi hai.tab maine pucha bhayi sahib us makaan ka kya karenge jiske humne aapko paise de diye hai.tab maine kaha paji kitni keemat hai tab unhone kaha 500 rupee mahine hai.tab maine kaha iss bare mai apne ghar wale se baat karungi.shaam ko jab wo ghar aya tab maine unse kisto me plot lene ke liye baat ki.aur unhone agar kisto me plot mil rahe hai to hum bhi plot le kar chor de aur baad me bana lenge.saath ek kameti aur daal denge.us kameti ko utha kar unko de denge.jissse humara saara paisa utar jayega.us sthan pe ek 200 gaj ka plot le liya .Ye plot hum 1986 me liya tha.kuch mahine bitne ke baad humne ek kameti utha ke humne us dalal ko partap nagar wale makaan ki baaki 5000 rupee de diye aur saan 1987 me le liya tha.phir hum ek makaan me shift karaya .jab hum iss makan me aye the tab isss area me sirf panch saat hi ghat the baaki saare plot the,us same iss makaan ka no. 160 hota tha.jo aaj C-422 no. ke naam se jana jata hai.iss makan me aane ke baad hume yaha ke logo ne kaha ki bahan ji aap ye makaan wech ke kahi aur chale jaao.Ye makaan sahi nahi hai,iss makaan me koi jyada der tak nahi rahta hai.pata nhi kya baat hai par mai in logo ke baato me nahi aane wali thi.kuinki mujhe apne waheguru pe bharosa hai saath hi mai andh vishwas me bilkul vishwas nahi karti thi.agar koi baat hoti to pahle makaan malik ne kun nahi bataya.saath hi mai kudh pata kar lungi.kya baat hua agar bhoot bhat hai.mai iss jagah par shree akhand path kara rahi hun.apne aap nas jag jayega jo bhi hoyega. Humare upar us waheguru ki bahoot kirpa hai.uss same hum saare pariwaar ke logo ko jayan  ne shree harimandir sahib me Amritsar me amrit piya ho tha aur hum har same unke hukam ki paalna karte rahe hai.hum iss Punjab ki dharti pe lane waale wah akaal purakh  ka hukam hua  aur issliye hi hum Punjab aaye.agar hum aaj ye makaan mila hai to uska hukmari hai aage jo  bahi hoyega us me uski hukam hi hoyega.parmatma ke hukam ke bager to patta bhi nahi hil saka.tab ye chij humara kya bigar lenge.fir hum iss makaan me shri akand path karaya tha.yaha aa ke bhi mujhe silayi ka kaam bhi kaafi mila.baccho ke school ke wardi koi suit silna aur ek do court pant bhi mila tha.aur silayi centre pe mai jaa hi rahi hun uss wact bhi mai apna niyam nahi tha chora.ussi tarah har roj kaam karna aur amrit same ishanan kar ke saheeda sahib ya shri harimandir sahib jaana mere paas ek cycle bhi tha.jiss mujhe aane jaane me der nahi hoti.kai baar jaate same agar koi bujurg  mujhe raste me gurduara sahib jaata paidal dikayi deta tha tab main unhe cycle pe bitha leti thi aur gurduara sahib le jaati agar unka ghar najdeek hota to unke ghar bhi unko chor aati aur apne ghar waapas aa ke ghar ka kaam kaaja kar ke wapas apni silayi centere chale jati aur sham ko ghar aa jana bacche bhi ghar ke najdeek waale school  me dakhala kara diya tha.fir kuch sama bitne ke baad humari silayi centre ki badly chandigrah ho gayi thi.jiss karke mujhe ye noukari chorni pari .kunki mai Amritsar chor ke nahi jaana chahti thi kuch sama bitne ke baad yaha par kai aur plot bho ban gaye the aur naye naye parosi aa gaye the.aur mujhe bhi apne ghar me salwar kameej bacchoo ke school ki wardi mil jaati aur mere bhi time pass ho jata.kuch sama bitne ke baad humari gali me kai naye naye log aa gaye the.fir hum iss apne ghar me mai apne I ne baccho ki dastar bandi karwayi  ye dastar bandi ki rasam meri ek saheli ke jawayi ne ki .wah mere sage bhaye se barh kar pyar karti thi aur mere baccho ko bhi.meri saheli ka naam gurmeet kaur tha.jo mere salayi center me kaam karti thi .usske chaar larkiya aur do larke the.wah char no kitta me rahti thi fir humari gali me ek kamaljeet kaur ki aurat aaayi.wah kisi hospital me nurse  thi humar saamne wale jagh me uska ghar tha.wah aurat kuch galt kisam ki aurat thi.usske saath humari kaafi aann baan hoti thi.par humne unhe kabhi bhi kuch nahi kaha.par wah har baar koi na koi archan daali rakhti thi .fir uss ne ek din muje kise khan wali ko kisi bacche ke jariye bhejwa  aur khilwa diya tha.jis me uss me uss ne kuch karwaya hua tha  jiska mujhe patan nahi tha.mai thori din baad kaafi bimar ho gayi thi.meri haalat itni khrab ho gayi thi ki mai marne ki katar pe  aa gayi thi mujhe kuch ne kuch hota hi rahta tha.jis tarah kis ne mere sharer ko  apne wasss kiya hua tha.mujhe mere sardar  ji  kaafi doctor ke paas le gaye the .par doctor ko mere bimeri ke bare me pata hi nahi chal raha tha.phir hume kisi ne batya ki aap iss kisi siyane ke paas le jao.fir hum kisi siyane ke paas gaye.unhone bataya hai ki aap  par kisi ne jaado tone kar ke aapko bandh liya hai.jis kar ke aap iss tarah rahte ho.fir hume unhone saath ek dost ne kaha ki tu apni ghar waali ko gurdaspur le jaw aha par ek jagah hai jise jaado tone kite karaya ka ilaj hai.mere ghar waale ne mujhe gurdaspur le gaye.aur waha ja ke mera ilaaz karaya par mujhe uss aurat pe  itna jabardast tona karaya hai.jis ka koi islaaz hi nahi tha.fir ek din kisi ne mujhe kaha ki aap inko dera sahib le jao.waha inka ilaaz jaroor  ho jayega.ye mujhe dera sahib le gaye jaha mujhe thick kiya gaya uss ke baad mei thic rahne lagi thi .par mujhe iss aurat se kaafi  sawthan rahna tha.iss liye mai apne ghar hi rahti thi.uske paas baithna aur na hi bolna .holi holi kar ke sama bita fir kuch der baad mere par fir se problem aayi par iss ka uss baat se alag tha.kunki iss wack mere bachpan se jo baba the mere saath the unhone apni jagh banana ke liye mere upar hajaar bahri aur mere moh dawayiya ki mujhe mere karar ke aapko kuch bhi nahi kahunga.agar aap meri jagah doge to mai aapko iss makaan ko  banana ke liye kaafi kuch dahan dunga aap ye jagah bana do abhi mere ghar wale bahoot pareshan ho gaye ko ab  ye ki  maad raho kunki inhone kabhi bhi pir ya dargah pe kabhi bhi nahi gaye the aur na hi hum inko maante the .humne kaafi logo ko dikhaya  kuch ne kaafi dawa kiya ki hum is chijo se nijaat dilwa denge.par iss koi bhi farak nahi para.kai baar mere upar baba ji aate aur fumaan karte .aur aap inko jaha marji dikha lo inko kuch nahi hua hai .ye bilkul thic hai par aap meri jagh banwa do fir hume kise bacchhe ne kaha ki aap inki jagah de  do .ye to bahoot bara pir ka jagh hai.jinhone aap pe kirpa ki hai.inko mango to aap dar jaaoge .par hum maanne ke liye taiyar nahi the kuinki hume uss waheguru ka dar hi accha tha jis ne ye saara jag banya .hum uss ke ilawa kise hor ko nahi manege.aur na hi jagah denge .hum iss tarah ki bhanak bhi de rahe par sabhi ne  kaha ki aapko ye jagah deni paregi nahi to makaan wech do.humne socha ki kun na makaan bech de.par baba ji ne kaha ki aap pura bech ke chale jaao par aap mere se door nahi jaa sakte .kunki mera inse aaj se nahi pichle janmo se saath hai.jab meri kaafi arpan karte the par aapko abhi iss baat ka pata nahi sama aane par aapko aapne aap hi pata chal jayega.mai aapko kah raha hu ki aap meri jagah bana do aap kaafi sukhi rahoge .kunki aapko ye pata naho hai ki aage aane wale same ka inpe kya kya problem aani hai saath hi mujhe inka nahi aapke saare pariwar ki fikar hai.baaki aapki marji hai.jab aap mere par wishwas nahi karke ho to mai aapke saath jabardasti nahi kar sakta jab aap wishwas karoge tab hi mai apni jagh kabool karunga.kunki  agar aap dar se jagah doge to koi fayida nahi hoga.mujhejto aapke wiswas aur  shardha chahiye hai.aap dunia me kahi bhi chale jaao aap aakhir yaha jagah banana hi paregi.The story will bo continued……

Thursday 17 January 2013

The story to be continued................



Aur  makan ka kitna mul hai .kaha ki makaan ka rate tab maine pucha nahi nahi unhone mujhe bataya bas mai kal kah ke aaungi aur sath me hi humari freez bhi kharab ho gayi thi.Mai is dukandar ke sath kaafi bahas kar ke usse 2000 kata ke 5000 wapas le aayi hun.Bas aap ficar na karo .wah aadmi sahib bahoot hi acche subhava ke hai.agle din hum dono ji sham ki chutti kar ke makann dekhne ke liye gaye.hum makaan bhi dekh ke aa gaye hume pasand bhi aaye .is makaan ka rate unhone mujhe (11000) bataya  ki bhayi sahib ji mere pass sirf 5,000 rupees hi hai .baaki paise mere pass nai hai. Aur baaki paise mai barbad nahi kar sakti.Mere pass bas itne hi paise hai.tub bhayi sahib ji ne kaha ki bibi paise kaha bhage ja rahe hai hum ye paise ka mamla baad me niber lenge.Pahile aap makan pasand karo .mujhe ye bataya ki  aap ko  abhi koi makaan pasand aaya hai ya nahi.Agar nahi pasand aaya tab mai aapko koi makaan dika dunga,tab maine kaha ki bhayi sahib aap abhi tak mujhe kise bhi makaan ka rate aur to bataya hi nahi.Bhayi sahib tab paagi ne uttar bataya bibi yaha par jitne bhi makan  maine aapki dikhaye hai ye saare makaan 10 aur 20 hazar rupeee tak  ki range me hai.baaki mouka dekh ke sahi dhyan de ke rate upar niche ho jayega .aap bas makaan pasand karo .tab humne pahile iss makan ke liye haa kar di.jis  me hum rah rahe hai.uss same is makaan ka price sirf 100000 rupee lagaya gaya.sahi byan de kar hum iss makann ka vichar bana liya .Par mere ghar waale ko ye makaan pasand nahi aaya tha.Unka irada hor koi  hazara me makaan dekhne ka tha .Par baad me vo maan gaye .Kuinki  itne kam rate me makaan sirf  hisse hi partap nagar area me tha kuinki uss wackt ye saara area  naakha ke baag se ghira hua tha  aur kuch kuch makaan bane huye the. Aur bhayi sahib ne mujhe baaki paise chukane ke liye Ek 10000 kameti  daal di.jiske kaan hume ye makaan bahoot asani se mila.us same iss makan me ek rikshaw wala rahata tha.jiska naam roshan lal tha.us ne sabhi  humse koi char pach mahine ka time manga. hum uss byana kar ke hum pahile wale kiraye wale makaan ko chor ke hum nahir   ke pass hum kiraye par rahne lage. Uss makaan ka malic ek bajurg tha jo fouj me retire ho chuka tha aur akele hi rahta tha Usss makan ke do kamre the.jisme hume ek kiraye me de diya tha.Uss ke pass thora sa hi khet bhi tha.jiss wah apna gujara karta tha.wah bajurg humare aane par bahoot kush tha becoz mere tinn chote chote bacche  the jis karke us ka akela pan dur ho gaya.Aur kuch hi dino me wah humaro family me ghul mil gaya ek din humare ghar punjab and sindh bank ka aadmi humare ghar aaya .uspe humara ghar bahoot muschile se mila tha mai us wact ghar me hi thi.maine unko kaha ki bhaayi sahib humare ghar wale abhi ghar nahi the.aap batao aapko unse kya kaam hai.maine  unko baithne ke liye kaha aur paani pine ke liye diya tab us bhayi sahib ne kaha ki bahen ji mai punjab and sindh bank se aaya hu.mujhe bank ke taraf se bheja gaya hai.mai barinder singh ko milna the mujhe unse kaam hai.maine unko kaha bhayi sahib aap mujhe bata do kya kaam hai.wo abho out of station gaye hai.wo shaam ko der se ghar aayege.mai aapka sundesha unko de dunge.tab unhone kaha ki mai unke liye ek noukari ke liye aaya unko dubara driver ki noukari mil gayi hai.wah aake apni noukari join kar le tab maine unko kaha ki bhayi sahib waha ke manager ne inko nikaala naho ye kudh hi noukari chor ke aaye the.kaan to aapko pata hi hoga tab bhayi sahib ne uttar diya bahan  ji mujhe sab pata hai.par ab uss manager ka transfer hua.naye manager ne inko bulaya hai kunki inka saath record me se naho kata gaya tha aur naye manager ke kahne se ki iss driver ka pata kahe ki ye noukari pe ku nahi aa raha hai tab maine unse kaha ki mere ghar waale punjab mandi board me sarkaari driver lagge the.iss layi vo noukari pe naho aa rahe the.itni baat karne ke baad wah bhayi sahib chale gaye.fir shaam ko jab mere ghar waale ghar aaye to maine unko ye sab saari baate batayi to unhone kaha ki jo insaan apne dharam aur karam pe wishwas karte hai.unko noukari dundhnei nahi paregi unke pass noukari kudh b kudh aa jaati hai.mai agar us same us manager ka kahin maan leta to shayad mai aaj iss noukari pe nahi laga hota.chalo jo parmatma karta hai thick ho karta hai,wah apne pyar karne waal se har same ann sang sachha bhi rahta hai.kuch sama bitne ke baad ek din makaan maik waale bhayi sahib aaye.Unhone ke makaan ke bare me pucha to humne kaha ki humne kameti me paise lagaye hai.bas agle mahine boli de ke aap ji ko baaki paise de denge .bhayi saahib ne kaha ki bahen ji ek nayi colony tayar ho rahi hai.us me kaafi plot kate huye the.the story will be continued.....................