FUNCTION ON 26 JANVARY,,AT AMRITSAR

26 JAN. KO MELA HAI DARGAH ME,AT AMRITSAR,NEW PARTAP NAGAR ,.SO COME HERE GOD BLESS YOU.fOR MORE INFORMATION PLEASE CONTACT BABA JI NO. +917837845786.

Monday 21 January 2013

The story to be continued................

humne iss ghar  dhol baja ke lekar aaye the.fir baba jji ne meri bari larki inderjit kaur ke shaadi bare baat ki aur kaha ki baba ji mai kis tarah sabh kuch kaungi aap to sabh kuch jante hi ho ki abhi to saara paisa bacchee ke upar lagaya hai aur na hi maine isske shadi ke bare me socha hai to babai  ji ne kaha ki aap iss baat ki chinta na karo ye sabh apne aap ho jayega aap bas hami bhar do larke ka rishta bhi apne aap ghar chal ke aayega  hume ghar ek school waaali  mata matha tekne ke liya aaya karti thi  wah rishte bhi karati thi baba ji ne hume unse baat karne ke liye kaha  par mere man me ye baat aa rahi thi ki baba ji itni jalde ye shaadi kun karna chahte hai  fir maine baba ji se puch liya baba ji ne kaha ki aap fikar na karo bas main aapko aane wale maare same se agah kar raha hun. jaman bahoot kharab hai bas mai aapke sir kise bhi kism ki parshani nahi aane deni hai , bas aap rishta dhundo  to mata ji ne hume kaha ki ek larka hai jo humare area me rahta hai larka bhi khatriya ka hai ,uss ka naam gurjeer singh hai wah photographer ka kaam karta hai. mujhe unhone larke ke ghar wale se milaya larka kafi acchee subhaw ka hai, lamba aur sundar hai mujhe ye larka bahoot acchaa laga ,mai unke ghar walo se baat karke unko apni larki dekhne ke liye shaam ka time rakha ,shaama ko unhone larki dekh ke  shaadi ke liye kah diya  bas agle hi hufte unhone shaadi ka time rakha .shaadi saada hi kiya gaya ,baba ji hume aane wale same ka pahile hi wistharpurwak bata dete the,mere ghar hor roj ab kaafi sangat aane lagi.jis karke mujhe inhe chay pani pilane me kaafi dicaat hoti thi bahoot muschile me mera time paas ho raha tha fir baba ji ne mujhe mere bare larke ke baare me bataya ki isski shaadi bhi jaldi ho jayegi  larki ke saadi ke baad mere bare larke narinder singh ki shaadi bhi (1999)ho gayi jis karke mera bhi kaam asan ho gaya ,baba ji ne mere ghar me hone wale har kaam me meri bahoot shayta ki  unka mai apni saari jindagi sukargujar rahungi,baba ji ne bacche ke bare me ye farman kiya ki aapke saare bacche ke ghar ek ek larki hogi,uss se jyada nahi hogi .meri larki ke ghar pahli larki hui thi aur fir mere larke ke ghar bhi ek larki hui thi ,fir ek din hume kaha ki aapke tisre  larke ke shaadi  ke liye larki kisi village ki hogi jab hum uss ke shaadi ke bare me larki dekhne ke liye gaye to wah larki village ki hi rahne waali thi. maine apne tisre larke ki shaadi kar di .iss ke ghar bhi pahile larki hui .ab hum bas apne sabh se chote larke ki shaadi ka fikar tha.par baba ji ne hume iss ke bare me kaha ki abhi iss ke bare me baad me baat hogi .sama aane ke baad apko iss ke bare me pata chal jayega ,kuch same bitne ke baad kudha baksh ko gaddi me bitha ke usko gaddi ka waris bana diya gaya ,abhi tak kudha baksh sampuran rup me gaddi me nahi baithe  hai kunki jab tak unko saari baat ki tamil nahi mil jaati  aur kuch gaddi ke prati shurt hoti hai wah shurt ko samagh ke  apni ichha ke anusaar maan nahi lete hai tab tak tab tak inko vidya hasal karne ke liye school bheja ja raha hai.baba ji ke darbar me har din sangat aati  hai .par baba ji unki muraad puri karte hai jinki  shurdha me koi bhed bhaw nahi ho..yaha har tarah ke log aate hai aur har tarah ke dukh se nijaat pate hai.baba ji ne apne jeevan me kai tarah ke logo ka iilaj kiya par unke saath kabhi koi shurt nahi rakhi  chahe paise ki ho chahe koi wastu ki.unka ek hi wachan hota hai ki jisne bhi is dar pe aana hai wah apni shardha se aaye na ki yaha aa ke dusre ke liye ye kahe ki mujhe usse dukh pahunchana hai.aap unke liye kai taweej bana do baba ji ye sab baat se bahoot nafarat karte hai.wah to dhaage,taaveej dalne wale ko apne dargah me dakhil nahi hone dete hai .baba ji farmaan karte hai  ki agar dhaage aur taaveej hi dalna ho to mere dargah me aane ko koi jaroorat nahi tum kahi aur jaa sakte ho yaha sirf sacchaayi se hi iillaj kiya jata hai na ki fareb se . baba ji ke darbar me kai sangat bahoot purane hai jinko 18 saal se bhi jyada ho gaya hai yaha aaye hue.yaha ek sewadar bhi hai jo darbar banane ke pahile din de aaj tak sewa lagatar karta aa raha .jis ka naam harbahan singh uss ka bhaayi baldev singh hai .
                                                             aur bibi vije devi ,inhone maine sewa karni jinpe baba ji ki janam se le kar  aaj tak rahimat hai ,wah hai bibi mahinder kaur (roji) roji naam unka baba ji ne rakha tha  jo ki ye naa m us ke pahile janam se hai.aah bibi mahinder  kaur ji ki sewa sambhal aur inki bhagti se kush ho ke  baba ji inki har fariyad puri karte hai chahe wah apne pariwar ke liye ho chahe bahar ke sangat ke liye .unke liye pariwar ya sangat dono hi ek saman hai balki ab to wah ye baat bacchee ko batate hai aap bhi  har same rab ki bandagi sewa me jurhte raho ,logo ki sewa karo ghar aaye sangat ko bhi apne pariwar ke jaisa parshad paani pucha karo .inki sewa me hi dunia bhar ka sukh hai .aage jaa ke baba ji ke kuch aur sapne hai  inki samaaj ke prati  jo wah ye kaam same aane par karenge.jise ek hospital banwan hai jis me har tarah ka iillj hoga aur ek school bhi kholna hai jis me har tarah ki vidya di jayegi  aur ek biradh aasharam bhi banwana hai jisme  jis me baba ji ke kuch sangat hai  jo ki apne pariwar se bahoot dukhi hai unke liye ye aasharam banwana hai jo ki wah iss darbar me rahe aur baba ji ki sewa kare aur apna jeevan safal banaye.Abhi bhi un bujurag ke liye ye darbaar  khula hai par rahne ke liye jagah ka hona baaki hai.Ye sapana unka hai jo aane wale 2.4 saal me unko pura karna hai.Iss liye unhone sewar karti mahinder kaur  de pati barinder singh ji ki jameen ka hissa jo ki unke bhayiyo ne kabja kar liya hai.jis ki keemat carore  rupee hai.Baba ji ne uss jameen ko wapas  hasil kar ke uss ko bech ke  uss rashi ko edhar ke kam ke liye wartana hai.jo ki baba ji ka sapna hai.Ye saari ghatna jo bhi iss kitab me  likhi hai ye sab ghatna mai narinder  singh , nawa daarni mahinder kaur ka bara larka apni bachpan ki jindagi se lekar  abhi tak dekha hai aur suna hai .iss baat ka ek warnan iss kitab me likha hai aur dargah ke banane se lekar  abhi tak jo bhi ghatna hui hai uss ke gawah saroop parosi  harbhajan singh ,baldev singh ,bibi prem kaur  aur kai hor ghar hai jo ki iss ghar  se bhi pahile  se iss area me rah rahe hai.Aage jaake hor bhi  baba ji ke darbar prati jo ghatna hoyegi  wah ghatna iss kitab ke dusre bhaag me likha jayega.

No comments:

Post a Comment