FUNCTION ON 26 JANVARY,,AT AMRITSAR

26 JAN. KO MELA HAI DARGAH ME,AT AMRITSAR,NEW PARTAP NAGAR ,.SO COME HERE GOD BLESS YOU.fOR MORE INFORMATION PLEASE CONTACT BABA JI NO. +917837845786.

Tuesday 8 January 2013

The story to be continued

Add caption
Is baare mai maine apne pati se baat ki.mere pati ghar se jaane ke liye taiyaar ho gaye.auu mai apne pati ke sath delhi me rahne lagi.yaha aakar inhone kisi karkhane me kaam kar liya .yaha par inko 300 rupee salary milti thi aur hamar gujara aacha hone laga (1981) ko mere ghar me beta paida hua.jiska naam Narinder singh rakha gaya.laka paida hone ki hum dono ko bahoot khushi thi.mai baba ji ki dhnwaadi thi.but mere mann me ek hi baat rahti thi ki mai kis tarah baaba ji ko mil sakti hun. jis karake wah mere saath har same rahe.Is cheej ki jaankari mujhe bilkol nahi thi.but baba ji ka jo maksath th us ka mujhe kuch nahi tha ki wah kya chahte the.ek saal baad mere ghar 1982 me dusra ladka paida hua.jiska naam jaswinder singh rakha gaya.us ke baad 1984 me delhi me danga fasaad hua.Har taraf saare hindu musulmaan,sikha me ladayiya ka kaher jaari tha.ghar ke bahar nikalna muchile ho gaya tha.humlog bhi bahoot bach bacha ke rahne ka aasra dundh rahe the.but har din ye dange barte jaa rahe the jis karke hamne faisla kiya ki hum punjab me jaakar rahenge .kuch mnahine baadd humne pariwar samet punjab me aake jalandhar me aake kiraaye par kamra liya .becoz punjaab me na hi mere peke aur na hi mere sasuraal  koi ristedaar nahi rahta tha.humlog akele hi the.Jalandhar me hum 5 mahine rahe the.Ek din mere pati ne mujhe kaha ki hum sabhi amritasar jaa kar rahne ki baat ki tab mere muh se baaba ji ne wachan kiya ki agar tu amritsar gaya to tujhe kaafi muschile aayegi.Kya tu is baat ke liye taiyaar hai tub mere pati ko pata nahi chala ki ye baat kun is tara ki unhone.Unhone haa  karte hue bole koi baat nahi.jo hoga vo dekha jayega.Kuch dino ke baad hum amritsar me aakar islamabad haripure me aakar ek kamra kirye par liya aur rahne lage .par iska landlord bahoot sharaabi tha.jis karke inki ye mkaan me rahne me paiso ki kami aayi.uske baad me do mahine rahne ke baad mere pati ne amritsar cannt me 22 no kothi me rahne ka kamra dhunda.Is kothi ke makan malik ne alag jaghah par kaafi quarter banaye huye the.Amritsar aane ke kaaran baba ji mere bahoot karib ho gaye.but mujhe abhi tak baba kji ke maksad ke baare me pata nahi chala ki vo hume kaha se kaha le aaye hai.aur kya chahte the iska pata mujhe shi same aane par lagega..Is kothi ke picheli side ek gurduara the.jis me ek pariwaar rahta tha jo gurduare me sewa karte the.har roj mai sawere uth ke  amrit vele naha ke gurduare me matha tekne jaana aur parmatma se ye mang mangna  ki he waheguru mujhe jaha par bhi rakhe apne charno ki preet bakshi.har roj jane karke is pariwaar se hamar bahoot pyar barh gaya tha.mujhe bhi gurubani ke saath jurne ka awsar mila .dhere dhere karke hamari muschile door ho gayi.




























No comments:

Post a Comment